Dar-e-Nabi Per (By Zulfiqar Ali Hussaini, Produced by Usman Ali)

15/03/2025 9 min
Dar-e-Nabi Per (By Zulfiqar Ali Hussaini, Produced by Usman Ali)

Listen "Dar-e-Nabi Per (By Zulfiqar Ali Hussaini, Produced by Usman Ali)"

Episode Synopsis

Description: "Dar-e-Nabi Per" ek roohani Naat hai jo Ashiqan-e-Rasool ﷺ ke dilon mein muhabbat aur jazbaat ko barhane wali hai. Zulfiqar Ali Hussaini ki pur-isti'ar awaaz aur mohabbat bhari shayari is Naat ko aur bhi pur-asar bana deti hai.Poetry (Urdu): در نبیؐ پر صدا دینا نہ چھوڑو یہ در ہے بخشش کا، لوٹ جانا نہ چھوڑوMohabbat Ka Anjaam --- Karo ge mohabbat, to chehre pe udaasi chhaayegi, Jo chhaayegi udaasi, to tumhe neend na aayegi. Jo neend na aayegi, to chehre pe asar hoga, Jo chehre pe asar aayega, to tu nazrein churaayega. Jo tu nazrein churaayega, to na jaane kab tak, milne na aayega, Tu milne na aaye, aisi nobat hi kyun aaye? Hum chahte hi nahi, ke mohabbat ho jaaye! Aur karo ge mohabbat, to kuch yun mohabbat hogi, Kabhi shaq hoga mujh pe, to kabhi shikayat hogi, Jinse waasta nahi, unse adaawat hogi, Gairon se nafrat, apnon se baghawat hogi. Mere liye, tumhe apna ghar chhodna hoga, Mere saath chal, tujhe yeh shehar chhodna hoga. Toot jaayega, jab ghar walon se rishta, Maa ke haath ke novelon se rishta. Anjaan shehar mein, yeh bukhaar bhi utar jaayega, Bhook lagegi, to pyaar bhi mar jaayega. Phir mujh par aayega, tumhe behkane ka ilzaam, Zindagi barbaad kar jaane ka ilzaam. Phans jaaunga main, duniya ke chakkar mein, Jawani lut jaaye, aisi nobat hi kyun aaye? Hum chahte hi nahi, ke mohabbat ho jaaye! Aur karo ge mohabbat, to roz mulaqat hogi, Waqt zaya hoga, fazool ki baat hogi, Shaam ko taane denge kuch log, Ghar pahunchte pahunchte, raat hogi. Ghar wale puchenge, to kya bologi? Kuch bologi, ya khamosh ho jaogi? Dil ki baaton ko soch kar, raat bhar muskaogi, Padi meri tasveer ko, seene se lagaogi. Chidchidi ho jaogi, jab dost chidhayenge, Usman ka naam le kar, tumhe log bulaayenge. **Ek din, tum in baaton se tang aa jaogi, Mujhe patthar ki tarah tod, phir aa jaogi.** Phir aaye, aisi nobat hi kyun aaye? Hum chahte hi nahi, ke mohabbat ho jaaye! ---Available for listening at: UsmanGee StudioProduced by: Usman Ali

More episodes of the podcast UsmanGee Studio